shinwari karahi recipe
waisay to asal shinwari karahi Dunbay ke gosht ki hoti hai, lekin aaj hum aapko chicken shinwari karahi recipe
ky baray mein betaye ge, Chicken
shinwari karahi mein istemaal honay wali tamam ashya aap ko aap ke kitcehn mein hi mil jaye gi aur aap is ko ba aasani –apne ghar mein pakka satke ho ,
Chicken ya Dunba ki shinwari karahi pehlay sirf Peshawar mein hi maqbool thi lekin ab aap jis jagah bhi jao ge shinwari karahi ky restaurants dekhnay ko mil jaye ge aur un par shinwari khanay walon ka rush aapko yeh batata hai ke shinwari ketni zayega daar hai, to chalo dekh letay hain ke yeh kis terhan bananay gi aur aap ko kin kin cheezon ki zaroorat ho gi.
Ingredients :
- Murghi ka gosht 1 gk ( kati hoi )
- Oil fraiy ke liye
- 6 Tomatoes ( ubaal kar Chilka utaar len )
- 4 Sabz mirch ( chaap kar len
- Adrak 100 gram ( lambi kaat leny )
- Namak hasb zayega
- Kali mitch 1 chaye ke chamcha
Steps :
aik pain mein oil garam kar len aur is mne murghi daal den aur halki aanch par brown kar len jab murghi brown ho jaye is mein se tail ko allag kar len aur is mein sabz mirch. other kaaf. timatar aur pani ka aik bara chamcha shaamil kar den aur halki aanch par 2 3 minute dam dainay ke baad kaali mirch powder shaamil kar den aur ab mzid itna boon len ke oil aur gravi allag allag ho jaye ,
apkee mazydaar Chicken shinwari karahi
tayyar hai ,
nan ya roti ke sath paish karen
Gharnesh mein aap bareek sabz mirch istemaal kar satke hen
Shinwari Karahi Note :
agar aap kisi bhi qisam ka Pakistani khana bana rahay hain to sab se zaroori cheez is ke Bonany par tawajah day ,
aap gosht sabzi ya phir daal pakaye agar aap is ko achi terhan boon letay ho to aap khanay mein poora zayega daal satke,
mzid behtareen khanay ki tarkeeb jan-nay ke liye yahan click karen shukriya
No comments:
Post a Comment